Jo baat tujh mein hai, Teree tasaweer mein nahin lyrics

Jo Baat Tujh Mein Hai Lyrics from Taj Mahal (1963)


Song: Jo Baat Tujh Mein Hai
Film: Taj Mahal (1963)
Singer: Mohammed Rafi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Music: Roshan Lal




Jo Baat Tujh Mein Hai Lyrics

Jo baat tujh mein hai,
Teree tasaweer mein nahin
Tasveer mein nahin…

Rangon mein tera aks dhalaa
Tu naa dhal saki
Saanson ki aanch, jism ki khushbu na dhal saki
Tujh mein jo loch hai
Meri tahareer mein nahin
Tahareer mein nahin..
Jo baat tujh mein hai
Teri tasveer mein nahin

Bejaan husn mein kahaan, raftaar ki adaa
Inkaar ki adaa hai, naa iqraar ki adaa
Koi lachak bhi zulf-e-girahagir mein nahin
Girahagir mein nahin
Jo baat tujh mein hai,
Teri tasveer mein nahin

Duniya mein koi cheez nahin hai teri tarah
Phir ek baar saamane aaja kisi tarah
Kya aur ek jhalak meri taqdeer mein nahin
Taqdeer mein nahin…

Jo baat tujh mein hai,
Teri tasveer mein nahin..
जो बात तुझ में है,
तेरी तसवीर में नहीं
तस्वीर में नहीं…

रंगों में तेरा अक्स ढाला
तू ना ढाल सकी
साँसों की आँच, जिस्म की खुश्बू ना ढाल सकी
तुझ में जो लोच है
मेरी तहरीर में नहीं
तहरीर में नहीं..
जो बात तुझ में है
तेरी तस्वीर में नहीं

बेजान हुस्न में कहाँ, रफ़्तार की आडया
इनकार की आडया है, ना इक़रार की आडया
कोई लचक भी ज़ुलफ-ए-गिरहगीर में नहीं
गिरहगीर में नहीं
जो बात तुझ में है,
तेरी तस्वीर में नहीं

दुनिया में कोई चीज़ नहीं है तेरी तरह
फिर एक बार सामने आजा किसी तरह
क्या और एक झलक मेरी तक़दीर में नहीं
तक़दीर में नहीं…

जो बात तुझ में है,
तेरी तस्वीर में नहीं..

SHARE

  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
  • Image

0 comments:

Post a Comment