Ab Kya Misaal Doon Lyrics

Ab Kya Misaal Doon Lyrics from Aarti (1962)

Song: Ab Kya Misaal Doon
Film: Aarti (1962)
Singer: Mohammed Rafi
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Music: Roshan Lal










Ab Kya Misaal Doon Lyrics

Ab kya misaal doon main tumhare shabaab ki
Insaan ban gayi hai kiran mahtaab ki

Chehre mein ghul gaya hai haseen chandni ka noor
Aankhon mein hai chaman ki jawan raat ka suroor
Gardan hai ek jhuki hui daali gulaab ki
Ab kya misaal doon…

Gesu khule to shaam ke dil se dhuan uthe
Chhu le kadam to jhuke na phir aasman uthe
Sau baar jhilmilaye shama aaftab ki
Ab kya misaal doon…

Deewar-o-dar ka rang, yeh aanchal, yeh pairhan
Ghar ka mere chirag hai boota sa yeh badan
Tasveer ho tumhi jannat ke khwab ki
Ab kya misaal doon…

अब क्या मिसाल डून मैं तुम्हारे शबाब की
इंसान बन गयी है किरण महताब की

चेहरे में घुल गया है हसीन चाँदनी का नूवर
आँखों में है चमन की जवान रात का सुरूर
गर्दन है एक झुकी हुई डाली गुलाब की
अब क्या मिसाल दु …

गेसू खुले तो शाम के दिल से धुआँ उठे
च्छू ले कदम तो झुके ना फिर आसमान उठे
सौ बार झिलमिलाए शमा आफताब की
अब क्या मिसाल दु …

दीवार-ओ-दर का रंग, यह आँचल, यह पैरहन
घर का मेरे चिराग है बूटा सा यह बदन
तस्वीर हो तुम्ही जन्नत के ख्वाब की
अब क्या मिसाल दु …


SHARE

  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
  • Image

0 comments:

Post a Comment